Sunday, July 3, 2011

KoI nAhI hAi

Koi nahe hai teri sapno ki duniya jisa 
jo dekhti hai tu wo nahe hai tere sapno jisa 
badal le tri soch nahe to pachatayegi 
auro ki tarh bhool jaa wo  jo lagta hai
tere jisa kya kare  gi use apna sa bana kar
kya kare  pne sapno ko  us ke sath saja  kar 
jab ye  sapne hai  hi  itne adhure kuyn ki 
tu khud kunsi hai sapno jaisi  jo saja rahi hai 
eisi sapno ki duniya 

Saturday, May 7, 2011

"MAA"


man mein muskurati hai  or apne gale se lagati hai 
apne  liye nahe bass apni choti si jaan ke  liye har gum ko bhulati hai 

or  apni pyaare se bacche  ke liye  har kisi ke samne  chatan  ban jaati hai.
 har pal ankhon  mein  apne bacche  ke bade hone  

ke intzer mein apna poora jeevan u hi betati  hai
eisa kaam  bass wo do shabdo  wali  "MAA"  hi kar pati hai 

 jo apne bacche ke liye raat ko din  mein badal  jaati hai 
isliye wo do shabdo  wali "MAA"  khalati hai 

apne bacche ke liye wo iswer  ban jaati hai 
isliye wo do shabdo wali  "MAA" khalati hai

_____________________________________________


Hundreds of dewdrops to greet the dawn,
Hundreds of bees in the purple clover,
Hundreds of butterflies on the lawn,
But only one mother the wide world over.

Sunday, March 20, 2011

chehre pe chehra


chehre pe  chehra 



har chehre ki  ye hai badi ajeeb kahani 
har pal ek nayi shakal  bana kar duniya  ko dikhani

rango  ke is mail  se ek naya chehre ki kahani 
or  is duniya  mein ek nayi chavi banane ki ravani

roj roj ke naye rango se apne ansu chupane
kabhi kabhi  khushiyon  ke liye ek or chavi banane

bas isi  tarh se apni zindagi ke rango se
naye chehre bana kar dusaron ke liye ye duniya sajani

chup chup kar in chehron  ko
ek nay umeed dekhani  ki 

har chehre ki  ye hai badi ajeeb kahani 
har pal ek nayi shakal  is duniya  ko dikhani

 koi na jaane in chehron ka raaj
bas sab khoye  hai  apni kahani mein kahi  

bhul jaaye ge ise rangon  bhare hansi chehron  ko kahi 
jab mit jaaye ge ye chehre kahi fir shuru  hogi wahi kahani 

whi hai ek or kahni jo hogi ek naye chehre  pe chehre 
ko lagane ki ravani or apne ander ki insan ko 

badalne  ki ek nayi or ajeeb si  kahani 
or badal jaaye ge in chehron ke rang  or

har chehre ki  ye hai badi ajeeb kahani 
har pal ek nayi shakal  bana kar duniya  ko dikhani







Friday, February 25, 2011

suraj ki tarh jeeta hun


 suraj ki  tarh jeeta hun



 suraj ki  tarh jeeta hun us ki har kiran se hai har pal ki kahani 
bass u hi kaat raha hai koi apne jeevan ki kahani 

or soch raha hai suraj ki tarh har din ki jeene ki kahani  
ki kya mein be har roj jeeta hun 

is suraj ki tarh jo har roj dharti ko rosani deta  hai 
kya mein be usi ki tarh har pal har din apne or dusaro ko rosani deta hun

har pal isi suraj ki tarh dusaro ke liye jeeta hun 
or is pal ke liye mein  barso jeeta hun 

choti si is harquat ke liye dusaro ko or khud ko har khushi deta hun
or har shaam  suraj ki tarh apne aap ko is  tarh  kho deta hun  

agale din ek naye  ehasas  or nayi kahani ke sath jeeta hun 
bass uhi suraj ki tarh har pal or har din jeeta hun 
or har din mein be is suraj ki tarh jeeta  hun 
-- 

Monday, January 24, 2011

roj roj bass yahi sochate hai hum







roj roj bass yahi sochate hai hum 
band ankhon se to hazaro sapne dekhte hai hum

fir khuli ankho mein kaha kho jaate hai hum 
 jab mili hai ye pyaari si  zindagi to kyun nahe jeena chate hai  hum 

bass  yahi sochate rha jaate hai  or hai pal  ki khushi 
uhi lutaate jate hai hum ghoom ho jaati hai wo sapno ki chavi 

jo band ankho mein dekhte hai hum bass  u hi
roj roj yahi sochate rha jate hai hum 

or ek din ye roj roj ki kahani 
band ankhon mein le ke kahi kho jaate hai hum 

Friday, January 14, 2011

Bacchpan ki kahani




Bacchpan ki kahani  
ankhe thi bade hone ki dewani

wo khatti methi yaade  
or bade hone pe ban gayi thi jawani ki kahani 

khilone ke sath thi pyaar ki kahani 
ab ban gayi hai  insano se kelne ki kahani

band ankh mein thi hazaro umeed ki kahani 
ab ban gayi wo zidd ki jubani

ab na hai wo saare sapne or wo umeede 
bass ab hai in khuli aankho mein un yaadon ke basere 

ab khatam hui wo bacchpan ki kahani 
or chal rahi hai budhape ki khani

Tuesday, January 4, 2011

:) accha lagta hai :)

                
      

mujhe ab neend ki talash nahe
abraato ko jagna accha lagta hai

mujhe neahe maalum ki tum meri kismat  ho ya nahe
mager khuda se tumhe mangna accha lagta hai

jaane mujhe haq hai ya  nahe
par tumhari parvaah karna accha lagta hai

tum se pyaar karna sahi hai nahe
par is ehasaas ko jeena accha lagta hai

kabhi hum sath honge ya nahe 
par ye khwaab dekhna accha lagta hai

tum mere ho ya nahe 
par tumhe apna kahan accha lagta hai

dil ko behlaaya bhut par maanta hi nahe 
shaayad ise be tumhaare liye dhadkna accha  lagta hai